Kuch kehta hu usse to sharma si jati he wo,
Na jane itni pyari kyun lagne lag jati he wo
Jab me karta hu usse pyar bhari baatein,
Kya pata kis soch me kho jati he wo,
Chhupa kar apne pyar ke aansuoun ko,
Itna pyar kyun jatati hai wo,
Me kahta hu, ki mat kiya kar itna pyar mujhe,
Fir bhi Na jane kyun mujhe itna pyar se satati he wo,
Me janta hu ki nahi reh sakti he wo mere bina ,
Fir bhi haq se ladkar mujhse gussa ho jati he wo,
Me manata hu ,batata hu ki itna gussa achcha nahi ,
Itna sun mujhe honthon par kiss kar jati he wo,
Or sharma kar jhuka leti he apni aankhon ko,
Or puri ki puri laal ho jati he wo,
Na jane wo ab mujhe itni achchi kyun lagne lagi he,
Ki ye sab bate bataye bina rah bhi na pati he wo,
Ab or kya bolu me uske baare me ,
Mujhe duniya ki haseen pari lagne lagi he wo ,
Ab me nahi rah sakta uske bina yahan,
Bus yahi baat hi to kehna chahti he wo,,,,,,