Friday, January 31, 2020

Love bird...

Kuch kehta hu usse to sharma si jati he wo,
Na jane itni pyari kyun lagne lag jati he wo

Jab me karta hu usse pyar bhari baatein,
Kya pata kis soch me kho jati he wo,

Chhupa kar apne pyar ke aansuoun ko,
Itna pyar kyun jatati hai wo,

Me  kahta hu, ki mat kiya kar itna pyar mujhe,
Fir bhi Na jane kyun mujhe itna pyar se satati he wo,

Me janta hu ki nahi reh sakti he wo mere bina ,
Fir bhi haq se ladkar mujhse gussa ho jati he wo,

Me manata hu ,batata hu ki itna gussa achcha nahi ,
Itna sun mujhe honthon par kiss kar jati he wo,

Or sharma kar jhuka leti he apni aankhon ko,
Or puri ki puri laal ho jati he wo,


Na jane wo ab mujhe itni achchi kyun lagne lagi he,
Ki ye sab bate bataye bina rah bhi na pati he wo, 

Ab or kya bolu me uske baare me ,
Mujhe duniya ki haseen pari lagne lagi he wo ,

Ab me nahi rah sakta uske bina yahan,
Bus yahi baat hi to kehna chahti he wo,,,,,,

Maa Ka Pyar !!!

Tere hath se piya mene
Teri jhuthi chai ka pyala,

Us din thand se Kisi ne nahi
Sirf tune mujhe sambhala,..


Aaj bhi meri har ek sans
Us pyari pyali ko tarasti he,

Lekin ab Tu nhi hoti yahan
Bus bahar Ki chai milti he,..


Har ma apne bachche se
Itna hi pyar karti he,

Bachca dukh me hota he
Us tak karah chal jati he,..


Me aaj bhi bhookha hoon yaha
Ma ,Tere hath ke nivalon ka,

Or nivale hath me liye
Meri ma aansoo chalkati he,..


Khud hans kar bhookhi rehti he
Pehle mujhko khilati he,

Me jab khana kha leta hoon
Aankh uski bhar aati he,..


Bus yahi he pyar ma bete ka
 Log Kyu nhi samjh pate he,

Jis ma se chalna sikhte he
Usi ka hath Kyu chod jate he,..